Wednesday, March 11, 2009

MÄÏN MÖHÄßßÄT HÖÖN

Main saahil pey likhee hui ibaarat nahee
Jo lehron se mit jaati hay
Main baarish ki barasti boond nahee
Jo baras ker tham jaati hay
Main khwab nahee
Jisey dekha aur bhula dya
Main shama nahee
Jisey phoonka aur bujha dya

Main hawa ka jhonka nahee
Jo aaya aur guzar gaya
Main chand bhi nahee
Jo raat k baad dhal jaye

Main to woh Ehsaas hoon
Jo tujh main lahoo ban ker gardish karay
Main to woh rang hoon
Jo teray dil pay charay to kabhi na mitay
Main woh geet hoon
Jo teray labon se juda na hoga
Main to woh parwaana hoon
Jo jalta rahayga magar fana na hoga
Khwab,ibaarat,hawa ki tarah
Chand,boond,shama ki tarah

Meray mitnay ka sawaal nahee
Kyunkay MÄÏN TÖ MÖHÄßßÄT HÖÖN
Aur Mohabbat Koi Zawaal Nahee....!!!!


http://www.earnparttimejobs.com/index.php?id=203936

Friday, March 6, 2009

Ro Na Sake

हम रो न सके
Ghum Mila Toh Ro Na Sake,
khushi Mili To Hans Na Sake,
Yeh kaisa Raaz Hey Zindegi Ka,
Ham Samaj Na Sake,
jis ko chaha,
Apna Na bana Sake...
Aap chale Gayen, Phir Bhi Dil se Nikhaal Na Sake,
Par jab Aap The,
Pass Bhi Na Aa Sake,
Ab Aapki Yaadon ko Seene Se Lagaake Phirthey Hain,
Saamne Aap ko Paa kar Bhi Gale Na Lagaa Sake,
Yeh kaisa Raaz Hai Zindagi ka,
Ham na Samaj Sakhey,
jis Ko Chaha Aapna Na Bana Sake...
Ab Palko ko Band karke , Pal Mein Apke pass Hote Hein,
Magar jab Ankhon ke Samne Thay,
jee Bhar ke Dekh Bhi Na Sake,
Dil Dard se Bharaa Huaa Tha Lekin Ro Na Sake,
Yeh kaise Raaz Zindegi ka,
Ham Na Samaj Sake,
Na Chup Rah Sakhe Na Pyar jataa Sake...
Ab Aap K Saath ke Liyeh Har Pal Tarapte Hein,
Magar jab Aap Tarap Rahey the, To Saath Na Desakhey,
Dil To Rotaa Rahey Par Ankhon Se Ansoo Na Bahein!!
Pyaar K is Riwaj ko Na Samaj Sake...
Dil itni Chot Khakar Bhi Aap Hee ko Chhahta kyon Hai,
Hum Samaj Na Sake,
Aap ke Laakh inkaaron K Baad Bhi....
Aap Hamarey Nahin Hein! Ye, Dil ko Samjha Na Sake,
Laakh Chaaha Humne.. Phir Bhi Aapko Bhula Na Sake...
Aap Humein Bhool Gaye, Magar Hum Na Bhoola Sake..
Jaise Khuwaab Zindagi, Aur Zindagi khuwaab Na Ho Sake,
Waise Aap Hamare Na Ho Sakte,
Aur.....Hum kisee Aur ke Na Ho Sake॥।


http://www।earnparttimejobs।com/index।php?id=203936