Wednesday, March 11, 2009

MÄÏN MÖHÄßßÄT HÖÖN

Main saahil pey likhee hui ibaarat nahee
Jo lehron se mit jaati hay
Main baarish ki barasti boond nahee
Jo baras ker tham jaati hay
Main khwab nahee
Jisey dekha aur bhula dya
Main shama nahee
Jisey phoonka aur bujha dya

Main hawa ka jhonka nahee
Jo aaya aur guzar gaya
Main chand bhi nahee
Jo raat k baad dhal jaye

Main to woh Ehsaas hoon
Jo tujh main lahoo ban ker gardish karay
Main to woh rang hoon
Jo teray dil pay charay to kabhi na mitay
Main woh geet hoon
Jo teray labon se juda na hoga
Main to woh parwaana hoon
Jo jalta rahayga magar fana na hoga
Khwab,ibaarat,hawa ki tarah
Chand,boond,shama ki tarah

Meray mitnay ka sawaal nahee
Kyunkay MÄÏN TÖ MÖHÄßßÄT HÖÖN
Aur Mohabbat Koi Zawaal Nahee....!!!!


http://www.earnparttimejobs.com/index.php?id=203936

1 comment:

  1. sach to yeh hain...

    "mohabbat karne se darate ho TUM,
    na jaane fhir kyon humsafar ko talaste ho TUM"

    ~

    dhoka khaye logon se mohabbat ka zikar na karna,
    jab himmat na ho to mohabbat na karna,
    dil behlane ke liye bahut milenge tumko yahaan
    kabhi kisi waafadar se bewafai mat karna"
    [written by $uNny Arora-copyright reserved]


    http://sunny-raj.blogspot.com/

    ReplyDelete